Monday, June 14, 2010

Uljanhe !!!


Kya Likhu kya na likhu,,,
sochne ko hai itna kuch,likhne ko kuch nahi,
Saare khyalon mei tu hi tu,Mann k har sawalo mei tu hi tu
Tere na hone pe bhi kyu hai ye sawal , ye khyal....
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai..
Kuch oas ki boondie zindgi ki patwar pe roj aa jati hai ,
na jaane kahan se ,
shayd tumhare naam ka badal roj bhigo k jaata hai....
ya tumhare aansu roj oas ban k aate hai..
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai...
Ki jin badlo se mai ghira rehta hun,
ye saare chehre kiske,...
dekte ho tum mujhe roop badal badal k..
ya dekhta hun mai tumhe har roop mei...
ye har pal mei tum ho.. ya shayd har kal mei tum ho...
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai...
pata nahi aur kitna rona likha hai,
ya tere sang hasna likha hai,
tera intjaar likha hai,
ya tera ikrar likha hai,,
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai.
Aansu ab bhi kahin chup k baithe hai,
lekin chup k to khushi bhi baithi hai,
is luka chupi k daur mei,
zindgi ki daud mei,
kiski hogi haar kiski hogi jeet,
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai...
Paar lagegi naiya,ya doob jaega ye maajhi,
koi de de jawab inka aaj hi,
Milega jawab ya sochta rahunga sada yun hi
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai...
Koi rasta jaata bhi hai tujh tak,
ya har raste mei kuch naya hi likha hai,
palat k aate hai kai log aksar,
tu kab paltegi,
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai...
Har chehre pe hai ajkal naqab,
aur dilo mei nafrat behisaab,
samajh yahi nahi aata,
wo pyaar thi ya nafrat,
wo chehra tha ya naqab,
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai...
wo tum hi the, ya tha koi ajnabi,
kya hum mile bhi the kabhi,
kabhi maine tumko jaana bhi tha,
ya pal bhar ka ye ek afsana hi tha,
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai...
Lo aa gaya tumhara chehra fir aankhon k samne,
Meri Zindgi isi pal mei simti jaati hai,
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai...
Inhi uljanho mei zindgi kati jaati hai...



3 comments:

  1. Pata nahi kya kahu...pata nahi kyo likhu
    zindagi ka hisaab ho gaya ye padh kar.
    extraordinarily written

    ReplyDelete
  2. awesome is the word...
    superlike...

    ReplyDelete
  3. Rishton ki Dori tab Kamzor Hoti Hai,
    Jab Insaan Galatfemi me Hone Wale sawalon ka Zabab Khud Hi Bana leta Hai!!!!!!

    ReplyDelete