Daud hi jaada tej ho gai,
Ya fir mai dheere ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya.....
Ya fir mai dheere ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya.....
Abhi to bheed thi chaaron taraf,
Ye Achanak se sannata kaise ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya ....
Ye Achanak se sannata kaise ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya ....
Hum to bheeg rahe the baarish mei,
Ye aansuon ne kab bhigo dia...
Ye aansuon ne kab bhigo dia...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya....
Baithe the hum sukoon ki chaon mei,
Ki ye sukoon kab kafoor ho gaya...
Ki ye sukoon kab kafoor ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya....
Jitni koshish kari muskurane ki,
Utna jaada gumgeen ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya...
Utna jaada gumgeen ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya...
Aae to lafj bahut mere hontho tak,
Par na jaane kyu fir mai khamosh ho gaya...
Par na jaane kyu fir mai khamosh ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya...
Bula rahe the pas sab bahut der se,
Pahucha to har koi kahin kho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya...
Pahucha to har koi kahin kho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya...
Ye char deewari ab kaatne ko daudti hai.
Ki ab deewaron ne bhi bolna chodh dia...
Ki ab deewaron ne bhi bolna chodh dia...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya...
Socha baant lu dard apni kalam ke saath,
Likhne baitha to kaagaj nam ho gaya...
Likhne baitha to kaagaj nam ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya...
Ladte hai jung khyaal dil aur dimaag ke,
Behas ispe ki kiski wajah se ye ho gaya...
Behas ispe ki kiski wajah se ye ho gaya...
Ki aaj laga mai to akela ho gaya...
Khuda bhi kehta ab aur jhooth na bolo,
Maajhi tha tu jis kashti ka uska patwar kahi kho gaya...
Maajhi tha tu jis kashti ka uska patwar kahi kho gaya...
Ki maan le ab tu akela ho gaya...

beautiful expression with full of emotional touch
ReplyDeleteKya baat hai bhai.....tum to shayar bann gaye...i super likezz....
ReplyDelete